Ye jung hai kaisa ke ek lakeer ke aar paar,
Mitti ki khushboo badal jaati hai.
Koi iss taraf bole main hindustani hun,
Toh koi uss taraf bole main pakistani hun.
Ye jung hai kaisa ki insaniyat mei bhi mazhab aa jata hai,
Naam lete hi talvaren uth padti hai,
Yun dekhtey hi dekhtey jaan chali jati hai,
Kahin Allah ke naam par, toh kahin Ram ke naam par.
Ye jung hai kaisa ki yahan khoon bhi alag alag behtey hain,
Koi garv se bole ki hindu ka khoon bahaya maine,
Toh koi garv se bole ki musalman ka khoon bahaya maine,
Bhool jatey hain ki maut hui insaano ki!
Koi hai tasawwuf mei khoya,
Toh kahin koi bhajan main magan,
Pyaar se suno toh dono main hai rab di tashkeen.
Hikayaten toh kai hai nayaab.
Kabhi itihaas ki rachna bhi toh dekho,
Nafrat ke sath sath kabhi mohabbat bhi thi kamyab.
Dil ki aatish ko bujha kar toh dekho,
Ek tamanah pyar ki jaga kar toh dekho,
Ek dusre se waqif ho kar toh dekho,
Ye jung ko kabhi mita kar toh dekho,
Shayad khud ke aine mei kisi aur ka aks dikhayi de!
Na dharm, na naam, na desh, na bhesh,
Kissi se kuch fark nahi padta.
Bas soch aachi ho toh kaafi hai!
Wowww 😍
ReplyDelete